Saturday, June 14, 2014

Main aur Tu ki Takraar

Ab ye baar baar hota hai,
Kuch bigadta hai aur prabhu banata hai,
Aur ye gaadi chalti rehti hai.


Par...Bandhu, jab bigadta hai tabhi kyun tu yaad aata hai?
Tu yaad rehta to shayad na hi bigadta!
Aur agar bigadta bhi to ehsaas na hota.


Ab mujhe tujhe yaad karna hai...


Kabhi kabhi tu ye dikhaata hai ki tu hi tu hai,
Aur main kuch bhi nahin.
Phir, jab dil ye maan jata hai,
To phir kyun tu apne raste , aur me apne raste chala jaata hu?
Tab kahi bhoole bisre hum takra jaate hain,
Aur jaldi se phir bhatak jaate hain!


Main to nasamajh insaan hu, Tu to bhagwaan hai.
Aur agar tu hi hai, aur me kuch bhi nahi, to kyun ye ahankaar hai?
Aur agar tu hi hai, aur me kuch bhi nahi, to kyun ye kasauti karm ki hai?
Aur agar tu hi hai, aur me kuch bhi nahi, to kyun ye takraar hai?
Aur agar aisa hi hai to kyun ye sansaar he?

3 comments:

  1. Very nice charan.......You are very special soul...:)

    ReplyDelete